ye to mumkin na tha wafa karte aap mil kar bhi mujh se kya karte dar gae barq ki chamak se kalim baat to jab thi samna karte aa to jate ki waqt-e-akhir tha mere marne hi ki dua karte na mile wo na hasraten niklin kat gai umr muddaa karte hijr-e-mahbub ka ilaj to tha zakhm-e-hasrat ki kya dawa karte jo hain na-ashna-e-harf-e-wafa wo kisi se kahan wafa karte un ke aane se main na ji jata rasm-e-duniya to wo ada karte khalq ki ye sada bhi sun lo 'habib' safar-e-dasht-e-karbala karte