yun bhi dekha na kabhi dard ka darman hona

By bekhud-mohaniMay 10, 2021
yun bhi dekha na kabhi dard ka darman hona
hae wo nashtar-e-mizhgan ka rag-e-jaan hona
wo tamannaon ka rah rah ke pareshan hona
wo teri yaad ka dil mein tere mehman hona


parde parde mein tere wasl ka saman hona
dard-e-pinhan ka tera ghamza-e-pinhan hona
mahshar-e-naz hain zarraat-e-faza-e-kaunain
allah allah kisi kafir ka khiraman hona


har ghadi ek nae aalam ki khabar deta hai
mera hansna mera rona mera hairan hona
josh-e-abaadi-e-duniya se mohabbat yani
dil-e-hasrat-zada ka mahshar-e-hirman hona


aah main hun wo siyah-bakht ki taqdir mein tha
barq se mere nasheman ka charaghan hona
khair apni nahin tujh ko ye kahe deta hai
apni har ek ada par tera hairan hona


jalwa-e-bazm-e-azal jalwa-e-tur-e-mahshar
hai mere shauq ke ajza ka pareshan hona
dekhiye naz-e-taghaful ko dikhae kya rang
ashk hasrat ka sar-e-daman-e-mizhgan hona


wadi-e-marifat-o-shauq ke allah re nasib
jis ki qismat mein tha 'bekhud' ka bayaban hona
74496 viewsghazalEnglish