yun tasawwur mein tera husn nazar aata hai

By raj-khetiJune 17, 2022
yun tasawwur mein tera husn nazar aata hai
jaise darpan mein koi aks jhalak jata hai
ek muddat se hai go tark-e-talluq phir bhi
dil ko ek jazba-e-be-nam sa tadapta hai


gahre ho jate hain jis waqt andhere gham ke
teri bikhri hui zulfon ka khayal aata hai
kitne dilchasp hain aazar-e-mohabbat ai dost
phul khilte hain to dil aur bhi ghabraata hai


rah gae bujh ke mohabbat bhari yaadon ke charagh
raushni dil mein koi phir bhi kiye jata hai
ek khamosh udasi ka hai aalam tari
kaun khwabon mein dabe panw chala aata hai


'raj aata hai kabhi pyar mein aisa bhi maqam
ek dil rota hai aur sara jahan gata hai
77775 viewsghazalEnglish