yun to hai zer-e-nazar har majra dekha hua phir nahin dekha hai wo rang-e-hawa dekha hua wo tera tarz-e-taghaful ye tera begana-pan wo alag dekha hua hai ye juda dekha hua dekhte the jis ko pahli bar hairani se hum asl mein pahle hamara wo bhi tha dekha hua tod kar hi aarzu pahunchi kahin payan-e-kar ghup-andhere mein koi band-e-qaba dekha hua dekhna padta hai kya batlaen phir kyun bar bar wo jo manzar tha hamara bar-ha dekha hua farq hi donon mein kuchh baqi nahin ab to koi kya nahin dekha hua hai aur kya dekha hua ajnabi mere liye phir bhi hai kyun mera wajud dar-ba-dar dhunda hua aur ja-ba-ja dekha hua ye jo an-dekhi guzargahon pe hain mere qadam shayad in mein bhi hai koi rasta dekha hua jo nai tarz-o-rawish mujh ko dikhate ho 'zafar' ye to meri jaan sab kuchh hai mera dekha hua