zaban jab dil jalati hai main us se khar khata hun wo aksar jit jati hai main aksar haar jata hun agar chahun gul-o-bulbul ke jazbe khinch kar rakh dun magar apni kamai ka gada sach hi dikhata hun zaban ki mar khai hai jo main ne yaro madar ki shikasta ho ki in tukdon ko ab tum par lutata hun adibon ne mujhe jhada to phenka go hun wo kida ki un ki kul kitabon ko main yun hi chat khata hun salakhen aur zanjiren hain kya beja mazalim kya zaban ki do salakhon mein main khud ko qaid pata hun koi dimak lagi lakdi si kuchh yaaden sambhaali thin wo mera tan galati thin so khud un ko galata hun agar meri tashaffi ko do baaten yar ki kar do zaban ki hi inayat hai ki khud ko bhul jata hun mere sukhe samundar ne jo kuchh naqshe se khinche the jinhen lahren mitati thin kabhi ab main mitata hun meri hassas tabiat ko to kya samjhenge main khud ko kabhi ashkon se munh dho kar kabhi hans ke chhupata hun jo kuda-dan ko shayan hai wo meri adibi hai ye panni chad-chdati hai main jab shama badhata hun kabhi samjha tha shair hun gada likhta tha main khud ko jo majnun ban phira ban mein wo ban se laut aata hun