zaban mile to hazar baaten kaha karen hum

By jameel-malikJanuary 15, 2022
zaban mile to hazar baaten kaha karen hum
sada ka rishta hi tut jae to kya karen hum
ye shahr-e-shisha to shahr-e-na-ashna hai pyare
kise pukaren yahan kise aashna karen hum


agar khuda tak pahunch sake harf-e-na-rasai
to arsh tak bhi buland dast-e-dua karen hum
yahan masiha ke kaam hi jab dua na aai
dua karen ab to kis ki khatir dua karen hum


ab un ke hathon kafan ka ehsan bhi kyon uthaen
shahadaton ke lahu se rangin qaba karen hum
koi kisi ko na de sake tan-e-na-rasai
jo qarz-e-jaan hai wo mar ke wada wafa karen hum


hum apna qatil khud apne hi aaine mein dekhen
agar kabhi apni zat ka samna karen hum
mahak uthe karbala se apne watan tak aae
kuchh aise zinda wo qissa-e-karbala karen hum


wo jis ki khushbu abad abad tak rahe salamat
ek aisa nama raqam safir-e-saba karen hum
wo jis ada se urus-e-farda ko tu ne chuma
nisar us par har ek ada khush-ada karen hum


'jamil' sab se azim-tar is sadi ka gham hai
sabhi ko ab is ke ishq mein mubtala karen hum
59546 viewsghazalEnglish