zabun-o-KHwar hui hai meri jibillat bhi

By abul-hasanat-haqqiOctober 23, 2020
zabun-o-khwar hui hai meri jibillat bhi
mere nasib-o-wirasat mein se imamat bhi
ajab hiras mein tha mere mausamon se ghanim
ki de raha tha use bhagne ki mohlat bhi


wo jab bhi aaya kam-o-besh mujh pe war gaya
mujhe ye shauq ki lata kabhi zarurat bhi
main apne zahr se waqif hun wo samajhta nahin
hai mere kisa-e-sad-kaam mein sharafat bhi


samajh rahe the main tanha hun be-basirat log
pas-e-ghubar chali aa rahi thi khilqat bhi
agar saliqe se koi giraft mein lae
main odh leta hun aksar rida-e-tohmat bhi


main nind mein tha ki sargoshiyon ke raqs mein tha
udhar thi naqa-e-umr-r-rawan ko ujlat bhi
ai shahsawar mujhe baadshah bana ke to dekh
main kat dalunga sar-rishta-e-baghawat bhi


usi ne rakh diya mujh ko samet kar 'haqqi'
wo jis ke nam se mujh ko mili thi shohrat bhi
81349 viewsghazalEnglish