zakhm-e-dil ka ho mudawa mujhe manzur nahin zist ka meri sahaara hai ye nasur nahin mangta hun main tujhe tujh se naya hai ye sawal baat radd karna gada ki tera dastur nahin aap aa jaen dam-e-naza mujhe lene ko aap ki shan-e-karam se to ye kuchh dur nahin aish ke sab hi hain saman mayassar lekin mera saqi nahin wo baada-e-makhmur nahin aarzu did ki arse se dobara hai mujhe ek hi bar mein jal jae ye wo tur nahin aap ka jaur-o-sitam aur ziyaada ho sada ho ifaqa ye 'wafa' ko meri manzur nahin