zaKHm to zaKHm hai kuchh der mein bhar jaega
By basheer-ahmad-shadOctober 28, 2020
zakhm to zakhm hai kuchh der mein bhar jaega
lafz nashtar hai rag-e-jaan mein utar jaega
teri rahmat ka ye dariya wo musafir hai ki jo
meri basti se dabe panw guzar jaega
rang kachcha hai tere shahr-e-wafa ka jaanan
gham ki ek lahr chalegi to utar jaega
aa teri mang mein is sham ki surkhi bhar dun
us ki tazin se ye husn nikhar jaega
is qadar maut ke saman ka hai ambar laga
kal ka insan jo dekhega to dar jaega
zulm ki dhup mein nafrat to panap sakti hai
pyar to phul hai is dhup mein mar jaega
pahle barbaad to kar le ye zamin ka chehra
phir ye insan kisi aur nagar jaega

12868 viewsghazal • English