zamin banai gai aasman banaya gaya

zamin banai gai aasman banaya gaya
barae-ishq ye sara jahan banaya gaya

tumhaari na ko hi aakhir mein han banaya gaya
yaqin ke chaak pe rakh kar guman banaya gaya

tum us ke pas ho jis ko tumhaari chah na thi
kahan pe pyas thi dariya kahan banaya gaya

hamare sath koi do qadam bhi chal na saka
kisi ke waste ek karwan banaya gaya

badal ke dekh lo tum jism chahe auron se
wahin pe thik hai jis ko jahan banaya gaya

kisi ko jab bhi zarurat padi siyahi ki
hamara jism jala kar dhuan banaya gaya

bas ek main hi tha basti mein bolne wala
to sab se pahle mujhe be-zaban banaya gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close