zamir-e-lala mai-e-lal se hua labrez

By allama-iqbalOctober 24, 2020
zamir-e-lala mai-e-lal se hua labrez
ishaara pate hi sufi ne tod di parhez
bichhai hai jo kahin ishq ne bisat apni
kiya hai us ne faqiron ko waris-e-parwez


purane hain ye sitare falak bhi farsuda
jahan wo chahiye mujh ko ki ho abhi nau-khez
kise khabar hai ki hangama-e-nashur hai kya
teri nigah ki gardish hai meri rusta-khez


na chhin lazzat-e-ah-e-sahar-gahi mujh se
na kar nigah se taghaful ko iltifat aamez
dil-e-ghamin ke muafiq nahin hai mausam-e-gul
sada-e-murgh-e-chaman hai bahut nashat angez


hadis-e-be-khabran hai tu ba zamana ba-saz
zamana ba to na sazad tu ba zamana satez
15119 viewsghazalEnglish