zara na hum pe kiya eatibar guzri hai

By syed-hamidNovember 22, 2020
zara na hum pe kiya eatibar guzri hai
ye ruh jism se begana-war guzri hai
hamein guman bhi na tha un ki tab-e-nazuk par
zara si baat sataish ki bar guzri hai


khirad ke zor se himmat ke baal-o-par le kar
kahan kahan se ye musht-e-ghubar guzri hai
katega kaise ye viran be-sahaara din
abhi to sirf shab-e-intizar guzri hai


badun-e-zakhm na roenge panw ke chhaale
bahe sarishk jahan nok-e-khar guzri hai
kahan hai aariz khurshid-e-nim-roze ki umr
miyan-e-kakul-e-shab-ha-e-tar guzri hai


chhupa labon pe tabassum ayan jabin pe shikan
hansi ki baat unhen nagawar guzri hai
gai jidhar se wo madhosh ho gai mahfil
magar wo shokh nazar hoshiyar guzri hai


aqab mein apne chhupae hazar-ha paikan
nazar ke samne mizhgan-e-yar guzri hai
hujum-e-shauq ke hathon gale pe 'hamid' ke
na puchhiye jo dam-e-ikhtisar guzri hai


58179 viewsghazalEnglish