zikr tera karenge phir tujhse
By mushaf-iqbal-tausifiNovember 9, 2020
zikr tera karenge phir tujh se
abhi dekha nahin hai ji bhar ke
puchh kar raushni ke khambon se
dhundte hain mujhe gali kuche
mar gai raat meri aankhon mein
din ke footpath par the khwab pade
chand kyun aasman se utrega
shakh se tut jaenge patte
raaz kya hai kisi ki sangat ka
tum akele nazar nahin aate
wo hansi dil mein ghantiyan si hain
dewtaon ne phul barsae
abhi dekha nahin hai ji bhar ke
puchh kar raushni ke khambon se
dhundte hain mujhe gali kuche
mar gai raat meri aankhon mein
din ke footpath par the khwab pade
chand kyun aasman se utrega
shakh se tut jaenge patte
raaz kya hai kisi ki sangat ka
tum akele nazar nahin aate
wo hansi dil mein ghantiyan si hain
dewtaon ne phul barsae
83230 viewsghazal • English