zindagi jab bhi aazmati hai kuchh na kuchh to hamein sikhati hai har haqiqat samajh mein aati hai maut jab aaina dikhati hai ek nannhi pari hai aangan mein jo mere ghar ko ghar banati hai koi pagal lahar kinare par jaane kya likhti hai mitati hai sar-phiri ho gai hai ek ladki wo hawa mein diya jalati hai