zindagi kyon hui waqf-e-gham-o-alam na puchh
By mayank-akbarabadiApril 5, 2022
zindagi kyon hui waqf-e-gham-o-alam na puchh
mujh se ai dost mere ishq ka anjam na puchh
kaun hai kis ne bana rakkha hai diwana mujhe
ham-nashin aql se pahchan magar nam na puchh
us ki nakaam tamanna ko samajh ai sayyaad
murgh-e-dil aa gaya kyon khud hi tah-e-dam na puchh
ho ke mahrum tere lutf-o-karam se ai dost
kis tarah main ne guzare sahar-o-sham na puchh
ishq-e-khuddar ki azmat ko samajh aaj 'mayank'
be-naqab aa gaya kyon koi lab-e-baam na puchh

41084 viewsghazal • English