zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath

By aziz-tamannaiOctober 28, 2020
zindagi yun to guzar jati hai aaram ke sath
kashmakash si hai magar gardish-e-ayyam ke sath
rifaten dekhti rah jati hain us ki parwaz
wo tasawwur ki hai wabasta tere nam ke sath


mil hi jaegi kabhi manzil-e-maqsud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho sham ke sath
dam-e-hasti hai khush-aind bhi dilkash bhi magar
udte jate hain giraftar usi dam ke sath


jab kisi lamha-e-dauran ko tatola hum ne
ru-e-aghaz nazar aaya hai anjam ke sath
un riwayat ko dohraate hain hum az-sar-e-nau
wo jo mansub hain sadiyon se tere nam ke sath


harf aae na 'tamannai' kahin saqi par
aaj mahfil mein chale aae hain hum jam ke sath
53917 viewsghazalEnglish