zulf suljhai unki shane se

By khanjar-ajmeriiMay 7, 2022
zulf suljhai un ki shane se
mujh se bigde isi bahane se
dil hi qabu se mere jata hai
baz aaya main dil lagane se


likkha taqdir ka are nadan
kahin mitta bhi hai mitane se
mil gae dil ko dagh-ha-e-diram
khusraw-e-ishq ke khazane se


shab ko mahfil mein dekh kar mujh ko
uth gaya nind ke bahane se
kya milega falak tujhe batla
bekason ke are satane se


dekh kar raat-din ki nairangi
aa gaya tang main zamane se
dar-ba-dar phirte kis liye lekin
sab hain na-chaar aab-o-dane se


apne qatil ke ru-ba-ru 'khanjar'
modna munh na sar jhukane se
16985 viewsghazalEnglish