Teri yaad se rishta kal bhi tha
By January 1, 2017

Teri yaad se rishta kal bhi tha
teri yaad se rishta aaj bhi hai
dil apna dukhta kal bhi tha
dil ye udaas aaj bhi hai
jo pyaar hum tum karte the
wo pyaar to zinda aaj bhi hai
hum bichad gaye is doori mein
tum door ho majburi mein
kabhi waqt mile to chali aana
khula dil ka darwaza aaj bhi hai
na sataao…
na tadpaao..
na mehfil mein yu tanha chhodo
teri yaad me jaage kal bhi they
teri yaad me jaage aaj bhi hai!
2594 viewsLove • English