Sangay mar-mar se tarasha hua ye shokh badan

By April 18, 2018
Sangay mar-mar se tarasha hua ye shokh badan
Sangay mar-mar se tarasha hua ye shokh badan
itna dil kash hai k apnanay ko ji chahta hai
surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab
jisay pee kr behek janay ko ji chahta hai


naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan
jin ki lehroon mein utar janay ko ji chahta hai tum se kya rishta hai
kab se hai
yeh maloom nahin


lekin is hussn pe mar janey ko jee chahta hai
rakh ley kal k liye yeh doosri pazeb dil
kal is bazzm mein phir aney ko jee chahta hai
be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri


jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai
kab se khamosh ho aye jane jahan kuch to bolo
kya abhi bhi sitam or dhanay ko jee chahta hai
chorr kar tum ko kahan chain miley ga hum ko


yahin jeeney yahin mar janay ko jee chahta hai
apne hathon se sanwara hai tumhein qudrat nay
dekh ker dekhte reh jane ko jee chahta hai
26126 viewsSharaabEnglish