musalman aur hindu ki jaan kahan hai mera hindostan main us ko dhundh raha hun mere bachpan ka hindostan na bangladesh na pakistan meri aasha mera arman wo pura pura hindostan main us ko dhundh raha hun wo mera bachpan wo school wo kachchi sadken udti dhul lahakte bagh mahakte phul wo mere khet mere khaliyan main us ko dhundh raha hun wo urdu ghazlen hindi git kahin wo pyar kahin wo prit pahadi jharnon ke sangit dehati lahra purbi tan main us ko dhundh raha hun jahan ke krishn jahan ke ram jahan ki sham saloni sham jahan ki subh banaras dham jahan bhagwan karen ashnan main us ko dhundh raha hun jahan the 'tulsi' aur 'kabir' 'jaysi' jaise pir faqir jahan the 'momin' 'ghaalib' 'mir' jahan the 'rahman' aur 'raskhan' main us ko dhundh raha hun wo mere purkhon ki jagir karachi lahore o kashmir wo bilkul sher ki si taswir wo pura pura hindostan main us ko dhundh raha hun jahan ki pak pawitra zamin jahan ki mitti khuld-nashin jahan mahraj 'moinuddin' gharib-nawaz hind sultan main us ko dhundh raha hun mujhe hai wo leader taslim jo de yak-jehti ki talim mita kar kumbon ki taqsim jo kar de har qalib ek jaan main us ko dhundh raha hun ye bhuka shair pyasa kawi sisakta chand sulagta rawi ho jis mudra mein aisi chhawi kara de 'ajmal' ko jalpan main us ko dhundh raha hun musalman aur hindu ki jaan kahan hai mera hindostan main us ko dhundh raha hun