prem sawera

By naseem-amrohviApril 7, 2023
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
sham ki chidiyan pankh pasare git sunati aaen
sanjh pade nadiyan bhi ruk kar shor machati aaen


baalam teri chaukhat par hai mera rain-basera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
ye din aur ye raat ka chakkar ye jina ye marna


ye mandir masjid ye shiwale kya kya qisse karna
pyare teri simran japna dharm hai ab to mera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala dil mein apne tera


chhota sa ek bij zamin mein kya kya rang dikhae
ubhre phute phul khilae duniya ko mahkae
duniya tu ne mujh se basai bagh hun main bhi tera
chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera


main ne dekha rup nirala dil mein apne tera
mera pyara mere tan mein jalwe dil ke andar
kis ko dhundun kis ko dekhun man hai khud ek mandar
is mandir mein wo hai har-su us ka ek main dera


chamak chamak kar suraj ubhra chhaya prem sawera
main ne dekha rup nirala apne dil mein tera
47488 viewsgeetEnglish