aa karen phir shabab ki baaten
By adil-mustaqueemJanuary 1, 2024
aa karen phir shabab ki baaten
us ke raushan naqab ki baaten
kuchh na kahne pe bhi wo jaan gaya
dil-e-khana-kharab ki baaten
mujh ko diwana kar ke chhod gain
'ishq ke iztirab ki baaten
'ishq tujh ko sikhaun main wa'iz
tu gunah-o-sawab ki baaten
us ke raushan naqab ki baaten
kuchh na kahne pe bhi wo jaan gaya
dil-e-khana-kharab ki baaten
mujh ko diwana kar ke chhod gain
'ishq ke iztirab ki baaten
'ishq tujh ko sikhaun main wa'iz
tu gunah-o-sawab ki baaten
99119 viewsghazal • English