aab-e-chashm aae aur nahaun main

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
aab-e-chashm aae aur nahaun main
kuchh piyun aur kuchh bahaun main
aansuon ka hai intizar mujhe
pani barse to lahlahaun main


main ki mazdur-e-'ishq khun mein nahaun
kyon pasine mein hi nahaun main
mere marne pe log rone lage
un ke rone pe qahqahaun main


ho gaya wasl jitna hona tha
bistar-e-jism ab tahaun main
wo mujhe jitna sidhi rah pe lae
aur utna hi gumrahun main


sanp hun main to ye zara sa kyon
khub zahraun azhdahaun main
chahe jitna hun 'farhat-ullah-khan'
'farhat-ehsas' hi kahaun main


26159 viewsghazalEnglish