aabaad rahenge virane shadab rahengi zanjiren jab tak diwane zinda hain phulengi phalengi zanjiren aazadi ka darwaza bhi khud hi kholengi zanjiren tukde tukde ho jaengi jab had se badhengi zanjiren jab sab ke lab sil jaenge hathon se qalam chhin jaenge baatil se loha lene ka elan karengi zanjiren andhon bahron ki nagri mein yun kaun tawajjoh karta hai mahaul sunega dekhega jis waqt bajengi zanjiren jo zanjiron se bahar hain aazad unhen bhi mat samjho jab hath katenge zalim ke us waqt katengi zanjiren