aadat-e-shab-bedari baDhti jati hai

By jamal-ehsaniFebruary 26, 2024
'adat-e-shab-bedari badhti jati hai
jab se girya-o-zari badhti jati hai
zist mein jab se dar aai hai ek tartib
sans ki na-hamwari badhti jati hai


us ki ana bhi kam nahin hoti pal-bhar ko
meri bhi bimari badhti jati hai
jis ko khabar hai us ko nahin hai koi gharaz
kyon meri mai-khwari badhti jati hai


haalat ye hai mail nahin kuchh donon mein
surat ye hai yari badhti jati hai
pahle jo na-mumkin tha mumkin hai ab
meri to dushwari badhti jati hai


16224 viewsghazalEnglish