aaDi-tirchhi baat na kar

By noor-indoriApril 1, 2021
aadi-tirchhi baat na kar
hissa de khairaat na kar
pyar jo hai to samne aa
tauhin-e-jazbaat na kar


dil ki lagi ashkon se bujha
izhaar-e-haalat na kar
chehre par zulfen na gira
nikhre din ko raat na kar


rok le aansu aankhon mein
bin mausam barsat na kar
mujh ko de de ek saghar
pesh koi saughat na kar


nicha jis se arsh lage
aisi malumat na kar
main ne kiya tujh par wishwas
ghair se mil kar ghat na kar


qadir hai qudrat ka nizam
'nur' gham-e-haalat na kar
71894 viewsghazalEnglish