aae the pardes mein do chaar barson ke liye

aae the pardes mein do chaar barson ke liye
ro rahe hain baith kar aainda naslon ke liye

ghair-mulki hain yahan par ham-watan main ajnabi
bech di pahchan apni hum ne paison ke liye

kar diya mazduriyon ne budha hum ko is tarah
bin paron ke jaise panchhi hon udanon ke liye

kuchh pe kachra ghar bane hain kuchh pe qabza ho gaya
chhod aae the zamin jo hum makanon ke liye

hum ghariban-e-watan ki qatl gahen ban gain
bastiyan mashhur thin jo khush-jamalon ke liye

karte hain hum zikr rab ka hont apne bhinch kar
kholte hain ab zaban dhimi azanon ke liye

ek purkhon ka 'zafar' hai dusra bachchon ka hai
des koi bhi nahin hai mere jaison ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close