aafiyat kahti hai phir ek sitamgar ko bulaen

By khursheed-rizviFebruary 27, 2024
'afiyat kahti hai phir ek sitamgar ko bulaen
reg-e-sahil ki tarah apne samundar ko bulaen
jo nazar bhi nahin aata use dil mein rakh len
wo jo bahar bhi nahin hai use andar ko bulaen


khar-zaron ka safar hai to pareshani kya
aankh ko band karen aur gul-e-tar ko bulaen
hai jo ek 'umr se simta hua pas-manzar mein
pesh-e-manzar ke liye phir usi manzar ko bulaen


phir ufuq ko hai wahi chand sa chehra matlub
aur hawaen bhi usi zulf-e-mo’ambar ko bulaen
raste bhatke hue qadmon ko aawazen den
sipiyan mauj mein ghulte hue gauhar ko bulaen


85640 viewsghazalEnglish