aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab

By ahmad-husain-mailOctober 23, 2020
aaftab aae chamak kar jo sar-e-jam-e-sharab
rind samjhen ki hai sadiq sahar-e-jam-e-sharab
sab ke hathon pe tha shab-bhar safar-e-jam-e-sharab
har khat-e-dast bana rah-guzar-e-jam-e-sharab


dukhtar-e-raz pe giren mast patangon ki tarah
sham-e-mahfil ho ye lakht-e-jigar-e-jam-e-sharab
tham le dast-e-subu aae jo chalne mein lachak
khat-e-baghdad ho mu-e-kamar-e-jam-e-sharab


tur-e-sina ka guman ho khum-e-mai par sab ko
is tarah hosh udao asar-e-jam-e-sharab
saghar-e-mai mein nahin partaw-e-khal-e-saqi
hai kaf-e-dukhtar-e-raz mein sipar-e-jam-e-sharab


khak mai-khane ki ban jati qayamat pis kar
har qadam par jo lachakti kamar-e-jam-e-sharab
aaj mai-noshon ka majma hai kahan ai saqi
kaun si bazm mein hai shor-o-shar-e-jam-e-sharab


jitne mai-khwar hain saqi se gale milte hain
sahar-e-id bani hai khabar-e-jam-e-sharab
shisha-e-mai se uda kag kabutar ki tarah
nama pahunchane chala nama-bar-e-jam-e-sharab


mauj-e-sahba pe gira sapna-e-mina ud kar
hai mere samne tegh-o-sipar-e-jam-e-sharab
mai pilata hai agar dhanp le sina saqi
tere joban ko lagegi nazar-e-jam-e-sharab


aaftab aa ke sikhata hai chalan shab-bhar ka
raat ko hota hai akasr guzar-e-jam-e-sharab
dast-e-saqi mein rahe dast-e-qadah-kash mein rahe
gardan-e-shisha-e-sahba kamar-e-jam-e-sharab


mast karte hain do-alam ko yahi do khud-mast
lazzat-e-naghma-e-mutrib asar-e-jam-e-sharab
kya ghazab hai ki tera honth na chuse 'mail'
aur ho tere labon tak guzar-e-jam-e-sharab


79034 viewsghazalEnglish