aag dariya ko ishaaron se lagane wala ab ke rutha hai bahut mujh ko manane wala mere chehre pe nai sham khilane wala jaane kis or gaya bazm sajaane wala nind tute to use dekh ke aaun main bhi wo hai aankhon mein nae khwab sajaane wala raat aankhon mein kati din ko rahi bechaini kaisa hamdard hua dard mitane wala zard mausam to kahin sakht qawaed jaanan naghma kuchh aur nahin dil ko dukhane wala ashk aankhon se tapakte hain bahut 'khullar'ji un mein ab rang bharo tum hi zamane wala