aag dil ko lage aankhon ko dhuan le jae
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
aag dil ko lage aankhon ko dhuan le jae
gham bichhadne ka hamein jaane kahan le jae
ek tute hue patte ki tarah hain hum bhi
ab hawa chahe jahan hum ko wahan le jae
hum tere dukh ko uthae hue yun phirte hain
jaise kandhe pe koi apna makan le jae
hum jo duben to kinare se na dekhe koi
aur kuchh dur hamein aab-e-rawan le jae
koi chehra hai nazar mein na koi manzil hai
bas chale jaenge ye rah jahan le jae
jaane kis waqt badal jae bahaaron ka saman
aur mahke hue phulon ko khizan le jae
jis taraf jaiye sailab-zada hai duniya
koi rakhne ko kahan apna makan le jae
gham bichhadne ka hamein jaane kahan le jae
ek tute hue patte ki tarah hain hum bhi
ab hawa chahe jahan hum ko wahan le jae
hum tere dukh ko uthae hue yun phirte hain
jaise kandhe pe koi apna makan le jae
hum jo duben to kinare se na dekhe koi
aur kuchh dur hamein aab-e-rawan le jae
koi chehra hai nazar mein na koi manzil hai
bas chale jaenge ye rah jahan le jae
jaane kis waqt badal jae bahaaron ka saman
aur mahke hue phulon ko khizan le jae
jis taraf jaiye sailab-zada hai duniya
koi rakhne ko kahan apna makan le jae
76110 viewsghazal • English