aag ek aur laga denge hamare aansu nikle aankhon se agar dil ke sahaare aansu hasil-e-khun-e-jigar dil ke hain pare aansu be-baha lal-o-guhar hain ye hamare aansu hai koi ab jo lagi dil ki bujhae meri hijr mein roke ganwa baitha hun sare aansu us masiha ki jo furqat mein hun roya shab-bhar ban gae charkh-e-chahaarum ke sitare aansu khun-e-dil khun-e-jigar bah gaya pani ho kar kuchh na kaam aae mohabbat mein hamare aansu mujh ko sone na diya ashk-fishani ne meri raat bhar ginte rahe charkh ke tare aansu wo sanwar kar kabhi aae jo tasawwur mein mere chashm-e-mushtaq ne sadqe mein utare aansu pas ruswai ne chhoda na sukun ka daman girte girte ruke aankhon ke kinare aansu lutf ab aaya meri ashk-fishani ka huzur pyari aankhon se kisi ke bahe pyare aansu meri qismat mein hai rona mujhe ro lene do tum na is tarah bahao mere pyare aansu mah-o-anjum pe na phir apne kabhi naz kare dekh le charkh kisi din jo hamare aansu yun hi tufan jo uthate rahe kuchh din 'naushad' aag duniya mein laga denge hamare aansu