aag jo dil mein lagi hai wo bujha di jae

By asra-rizviOctober 27, 2020
aag jo dil mein lagi hai wo bujha di jae
phir koi taza ghazal aaj suna di jae
zinat-e-jism bane ruh ko chhalni kar de
aisi har rasm zamane se mita di jae


sunte hain ishq ka bazar bahut garm hai phir
qimat-e-husn zara aur badha di jae
ek jhalak ke liye sau bar sar-e-baam gaya
aatish-e-shauq ko kuchh aur hawa di jae


raaz sine mein daba hai jo sar-e-bazm kahun
sirf ek bar mujhe us ki raza di jae
zindagi dhup mein jalte hue kati jis ne
saya mil jae koi us ko dua di jae


ja-ba-ja aks meri aankhon mein ubhre jis ka
us ki taswir bhi ab dil se hata di jae
waqt aajil hai safar tul hai dam aankhon mein
rukh-e-jaanan se naqab ab to utha di jae


tishnagi aankh ki kam ho koi surat nikle
pas-e-parda hi jhalak kash dikha di jae
munjamid koh-e-nida par hai taghaful se tere
hiddat-e-chashm-e-karam us pe luta di jae


muskuraate hue sar sine pe rakh kar bole
maraz-e-ishq hai lazim hai dawa di jae
ye bhi mumkin hai magar tab ki wo khud aa ke kahe
baat jo dil ko dukhati hai bhula di jae


67318 viewsghazalEnglish