aag sine mein mohabbat ki lagate kyon hain jab unhen chhod ke jaana hai to aate kyon hain hum jab insan ki tarif mein aate hi nahin phir hamein log kaleje se lagate kyon hain dur kaba to hai bandon ki ibaadat ke liye phir ye tamir-shuda ghar ko giraate kyon hain kanch ka ghar na shajar hai koi aangan mein mere dosto sang mere ghar mein phir aate kyon hain jab unhen mujh se mohabbat hi nahin hai 'swami' phir mera nam wo likh likh ke mitate kyon hain