aage jamal-e-yar ke mazur ho gaya

aage jamal-e-yar ke mazur ho gaya
gul ek chaman mein dida-e-be-nur ho gaya

ek chashm-e-muntazar hai ki dekhe hai kab se rah
jon zakhm teri duri mein nasur ho gaya

qismat to dekh shaikh ko jab lahar aai tab
darwaza shira khane ka mamur ho gaya

pahuncha qarib marg ke wo said-e-na-qubul
jo teri said-e-gah se tak dur ho gaya

dekha ye naw-nosh ki nish-e-firaq se
sina tamam khana-e-zambur ho gaya

is mah-e-chaardah ka chhape ishq kyunke aah
ab to tamam shahr mein mashhur ho gaya

shayad kaso ke dil ko lagi us gali mein chot
meri baghal mein shisha-e-dil chur ho gaya

lasha mera tasalli na zer-e-zamin hua
jab tak na aan kar wo sar-e-gor ho gaya

dekha jo main ne yar to wo 'mir' hi nahin
tere gham-e-firaq mein ranjur ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close