aaghosh mein jo jalwagar ek naznin hua

aaghosh mein jo jalwagar ek naznin hua
angushtari bana mera tan wo nagin hua

raunaq-faza lahad pe jo wo mah-jabin hua
gumbad hamari qabr ka charkh-e-barin hua

kanda jahan mein koi na aisa nagin hua
jaisa ki tera nam mere dil-nashin hua

raushan hua ye mujh pe ki fanus mein hai shama
hath us ka jalwagar jo tah-e-astin hua

rakhta hai khak par wo qadam jab ki naz se
kahta hai aasman na kyun main zamin hua

raushan shabab mein jo hui sham-e-ru-e-yar
dud-e-charagh husn-e-khat-e-ambarin hua

ya rab gira adu pe 'amanat' ke tu wo barq
do tukde jis se shahpar-e-ruhul-amin hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close