aah ai yar kya karun tujh bin
By meer-mohammadi-bedarNovember 6, 2020
aah ai yar kya karun tujh bin
nala-e-zar kya karun tujh bin
ek dam bhi nahin qarar mujhe
ai sitamgar kya karun tujh bin
hun teri chashm-e-mast ka mushtaq
jam-e-sarshaar kya karun tujh bin
go bahaar aai bagh mein lekin
sair-e-gulzar kya karun tujh bin
dil hai betab chashm hai be-khwab
ja-e-'bedar' kya karun tujh bin
nala-e-zar kya karun tujh bin
ek dam bhi nahin qarar mujhe
ai sitamgar kya karun tujh bin
hun teri chashm-e-mast ka mushtaq
jam-e-sarshaar kya karun tujh bin
go bahaar aai bagh mein lekin
sair-e-gulzar kya karun tujh bin
dil hai betab chashm hai be-khwab
ja-e-'bedar' kya karun tujh bin
40494 viewsghazal • English