aahaton se dimagh jalta hai aaj sikka hawa ka chalta hai thartharaati hai lau mashiyyat ki ek mahshar faza mein palta hai sar uthate hain naqsh panw tale saya jab aadmi ka dhalta hai rang chunta hai zehn billor jism jab dhup se pighalta hai apne mehwar pe sham tak suraj kitne hi zawiye badalta hai kar ke patthar se pash pash hamein shahr ka shahr hath malta hai shoala-zan hai gham-e-hayat 'samad' parbaton se dhuan nikalta hai