aaina samne rakhoge to yaad aaunga

By rajendra-nath-rahbarAugust 27, 2024
aaina samne rakhoge to yaad aaunga
apni zulfon ko sanwaroge to yaad aaunga
rang kaisa ho ye sochoge to yaad aaunga
jab naya suit kharidoge to yaad aaunga


bhul jaana mujhe aasan nahin hai itna
jab mujhe bhulna chahoge to yaad aaunga
dhyan jaega bahar-haal meri hi jaanib
tum jo puja mein bhi baithoge to yaad aaunga


ek din bhige the barsat mein hum tum donon
ab jo barsat mein bhigoge to yaad aaunga
chandni raat mein phulon ki suhani rut mein
jab kabhi sair ko nikloge to yaad aaunga


jin mein mil jate the hum tum kabhi aate jate
jab bhi un galiyon se guzroge to yaad aaunga
yaad aaunga udasi ki jo rut aaegi
jab koi jashn manaoge to yaad aaunga


shelf mein rakkhi hui apni kitabon mein se
koi diwan uthaoge to yaad aaunga
sham' ki lau pe sar-e-sham sulagte jalte
kisi parwane ko dekhoge to yaad aaunga


jab kisi phul pe ghash hoti hui bulbul ko
sehn-e-gulzar mein dekhoge to yaad aaunga
95896 viewsghazalEnglish