aaine se na Daro apna sarapa dekho

By hasan-najmi-sikandarpuriOctober 31, 2020
aaine se na daro apna sarapa dekho
waqt bhi ek musawwir hai tamasha dekho
kar lo bawar koi laya hai ajaib-ghar se
jab kisi jism pe hansta hua chehra dekho


chahiye pani to lafzon ko nichodo warna
khushk ho jaega afkar ka pauda dekho
shahr ki bhid mein shamil hai akela-pan bhi
aaj har zehn hai tanhai ka mara dekho


wo jo ek hasrat-e-be-nam ka saudai hai
us ko patthar ne badi dur se taka dekho
had se badhne ki saza deti hai fitrat sab ko
sham ko kitna badha karta hai saya dekho


ab to sar phod ke marna bhi hai mushkil 'najmi'
hae is daur mein patthar bhi hai mahnga dekho
78648 viewsghazalEnglish