aainon ki bhiD mein patthar rahe badnam bhi

By hafeez-aatishOctober 24, 2023
aainon ki bhid mein patthar rahe badnam bhi
aainon ko pad raha hai pattharon se kaam bhi
tu khuda hai to mukammal kyon nahin karta mujhe
warna mujh se chhin le ye mera istihkaam bhi


main akela hi nahin hun is sutun-e-dar par
hai mere hamrah ek idrak bhi anjam bhi
ibtida bhi in khilaunon ki isi mitti se hai
muskuraata hai yahin baitha kahin anjam bhi


57361 viewsghazalEnglish