aainon se pahle bhi rasm-e-khud-numai thi dil shikar hote the aisi dilrubai thi phul phul baam-o-dar raste hain gul-paikar wo udhar se guzre the ya bahaar aai thi pas ka musafir kyun uth ke dur ja baitha nam puchh lene mein aisi kya burai thi kuchh shafaq shafaq aariz kuchh ufuq ufuq chehre aarzu ne bazm apni raat yun sajai thi kitna mohtaram tha main bhulta nahin 'najmi' bhuk bhi mere ghar mein sar jhuka ke aai thi