aaiye dahr mein insan ka chehra dhunden be-yaqini mein bhi imkan ka chehra dhunden ahl-e-fan daman-e-ikhlas talab karte hain shahr ki bhid mein pahchan ka chehra dhunden adl par apne sarabon ka asar hawi hai doston aao ki mizan ka chehra dhunden bhuk se log tadapte hain gharon mein apne ahl-e-sarwat mein hum ehsan ka chehra dhunden khet mein fasl-e-sahar bikne lagi hai phir se hum har ek dane pe dahqan ka chehra dhunden hain hujum-e-gham-e-dauran se pareshan to kya apne aslaf ke aiwan ka chehra dhunden yas-o-hasrat ki riyasat mein nahin hum tanha qarya qarya chalo haijaan ka chehra dhunden