aaj aaraish-e-gesu-e-dota hoti hai phir meri jaan giraftar-e-bala hoti hai shauq-e-pa-bosi-e-jaanan mujhe baqi hai hanuz ghas jo ugti hai turbat pe hina hoti hai phir kisi kaam ka baqi nahin rahta insan sach to ye hai ki mohabbat bhi bala hoti hai jo zamin kucha-e-qatil mein nikalti hai nai waqf wo bahr-e-mazar-e-shohada hoti hai jis ne dekhi ho wo chitwan koi us se puchhe jaan kyun-kar hadaf-e-tir-e-qaza hoti hai naza ka waqt bura waqt hai khaliq ki panah hai wo saat ki qayamat se siwa hoti hai ruh to ek taraf hoti hai rukhsat tan se aarzu ek taraf dil se juda hoti hai khud samajhta hun ki rone se bhala kya hasil par karun kya yunhi taskin zara hoti hai raundte phirte hain wo majma-e-aghyar ke sath khub tauqir-e-mazar-e-shohada hoti hai murgh-e-bismil ki tarah lot gaya dil mera nigah-e-naz ki tasir bhi kya hoti hai nala kar lene den lillah na chheden ahbab zabt karta hun to taklif siwa hoti hai jism to khak mein mil jate hue dekhte hain ruh kya jaane kidhar jati hai kya hoti hai hun fareb-e-sitam-e-yar ka qail 'akbar' marte marte na khula ye ki jafa hoti hai