aaj apne dil se phir uljha hun main

By mohammad-sadiq-ziaNovember 7, 2020
aaj apne dil se phir uljha hun main
muddaa ye hai ki dekhun kya hun main
rokna ai maddiyat ke hijab
khud-bakhud ifsha hua jata hun main


hai meri aankhon mein kaif-e-be-khudi
khwab-e-doshin se abhi jaga hun main
chandni raaton mein jab uthti hai mauj
nur ban kar chand mein bahta hun main


kis qadar rangin hai mera mizaj
subh ke phulon ka gahwara hun main
gulsitan mein chhed kar ghunchon ke saz
khud-bakhud ek git ga leta hun main


jada-e-hasti hai ek rah-e-ghalat
ye kahan gum ho ke aa pahuncha hun main
dur tak koi nahin hai ham-khayal
aise khwab-abaad mein tanha hun main


karwan-e-zindagi aage gaya
pur-ghubar ek subh ka tara hun main
tang hai mujh par faza-e-kaenat
zarre ki aaghosh mein sahra hun main


zindagi ki bujh gain shamen 'ziya'
tirgi-e-shab ka parwana hun main
86941 viewsghazalEnglish