aaj bhi abr-e-masarrat aansoon mein Dhal gaya

By sahil-mubarkpuriNovember 15, 2020
aaj bhi abr-e-masarrat aansoon mein dhal gaya
phir bhari barsat mein dil ka nasheman jal gaya
justaju-e-shab bujhati to miyan kuchh khair thi
raushni ka karwan chashm-e-sahar mein khul gaya


sahab-e-marham teri jab se hui chashm-e-karam
ek zara sa aabla nasur ban kar phal gaya
kya khabar thi jhaala-bari mehrban hogi abhi
ped samjha tha yahi tufan aa kar tal gaya


kuchh samajh aata nahin tark-e-wafa kaise karun
aastin-e-arzu mein phir sanpola pal gaya
ru-ba-ru 'sahil' hai lekin ab bhala kya faeda
sair-e-tufan karte karte jism sara gal gaya


84179 viewsghazalEnglish