aaj dekha jo koi shakhs diwana mere dost yaad phir aaya mujhe mera fasana mere dost main tere hijr mein chup-chap chale jata hun dil ko aata hai kahan koi bahana mere dost khud se niklun to nae shahr ka naqsha dekhun ek zamane se hun mahrum-e-zamana mere dost dil ki basti mein faqat aakhiri tum hi ho makin ek ek kar ke hue dil se rawana mere dost hum se aankhen na milao ki hum aawara hain aise logon ka kahan ek thikana mere dost