aaj inkar na farmaiye aap shab ki shab ghar mere rah jaiye aap jaiye ghar ko na ghabraiye aap hum na mar jaenge bas jaiye aap khol do shauq se band angiya ke let kar sath na sharmaiye aap aate hi kahte ho main jaunga main bhi aane ka nahin jaiye aap dhundhte phiriye agar le ke charagh mujh sa aashiq jo kahin paiye aap umr bhar to na qadam-ranja kiya aaiye ab to na tarsaiye aap jaan-e-mushtaq labon par aai kuchh wasiyyat hai wo sun jaiye aap dil samajhta nahin mujh se naseh aap se samjhe to samjhaiye aap saya-san shauq mein uftan-khezan sath rahta hun jidhar jaiye aap main dikhaun jo junun ki hai sifat shan be-rahmi ki dikhlaiye aap tukde tukde main gareban ke karun purze purze mere aadaiye aap shad ho ruh agar baad-e-fana sham-o-gul gor pe bhijwaiye aap jaan sadqe karun kya mal hai jaan kat dun sar ko jo farmaiye aap munh pe munh rakkha to bole kya khub pahle munh apna to banwaiye aap ghair katne lagen bandh jae hawa mujh se tukkal agar udwaiye aap nam tak lun na kabhi hun wo bashar ab agar hur bhi ban jaiye aap hath se 'rind' ko khote ho abas kahin aisa na ho pachhtaiye aap