aaj jo itni sargirani hai is mein poshida ek kahani hai kya yaqin ho ki aaj manega pahle kab us ne baat mani hai saya dhalne laga hai pedon ka piri ab hasil-e-jawani hai hai ragon mein to khun hai lekin aankh mein aae to wo pani hai surkh tan surkh-ru jo aaya hun shahr walon ki mehrbani hai tanz hi wo kare kare to sahi us ki to ye bhi mehrbani hai mamlikat teri jism-o-jaan mere mera dil teri rajdhani hai kis ki aamad hai aaj gulshan mein kis ki khatir ye gul-fishani hai sar pe chadh aaya hai jo yun suraj ye tanazzul ki ek nishani hai hai atal sab ke waste 'khawar' wo jo ek marg-e-na-gahani hai