aaj kis ka jalwa-e-rangin numayan ho gaya

By jauhar-zahiriSeptember 4, 2022
aaj kis ka jalwa-e-rangin numayan ho gaya
jalwa jalwa rashk se sar-dar-gareban ho gaya
kaun ye jalwa-taraaz-e-bazm-e-imkan ho gaya
kis ke nur-e-husn se aalam charaghan ho gaya


sehn-e-gulshan mein ye kis ne naz se angdai li
chaak-e-dil har phul ka chaak-e-gareban ho gaya
hasrat-o-arman ki mayyat hai ek ek ashk-e-tar
mera daman basti-e-gor-e-ghariban ho gaya


phir bahaar aai hua phir muztarib dast-e-junun
khair se phir aarzu-e-dil ka saman ho gaya
har gul-e-tar ho gaya jam-e-sharab-e-arghawan
mai-kada-bar-dosh ab sara gulistan ho gaya


apne qaid-o-band ka 'jauhar' nahin mutlaq alam
ye khushi hai hum se aabaad un ka zindan ho gaya
34982 viewsghazalEnglish